Kabhie subha say kabhie sehar say larra karti thee

Mudatein howe aik shamma yaha jala karti thee


Kya baat howe kay aaj sar-e-sham band ho gayee
Aik khirrkee jo kabhi autak-e-sehar khula karti thee


Simhata hai dil kiyoun ab ki barr iss toofan main
Garajtay thay badal, bijli pehlay bhie girra karti thee


Kuch kasoor-e-kismat-e-amaan ka hai warna
Naumeedi iss dil say dur hie raha karti thee


Khata meri hie thee jo duniya say dil laga baithi
Yeh kambakht zindagi pehlay kab kisi say wafa karti thee


Main kaash yeh keh saktee,”Mujhe Yaad Kijiye”
Kabhi meri yaad jinn ki dharkan howa karti thee


Dekho aaj hum unn ki duniya mai shamil hie nahin
Jinn ki duniya kabhi BASSA Hum Say Howa karti thee